dil ka mausam zard ho to kuchh bhala lagta nahin
koi manzar koi chehra ḳhushnuma lagta nahin
dhundle dhundle ajnabi se log aate hain nazar
muddaton ka ashna bhi ashna lagta nahin
saḳht mushkil ho gaya hai imtiyaz-e-ḳhub-o-zisht
phuul si poshak men bad-ḳhu bura lagta nahin
luuT kar aate nahin kyuun ashiyanon ki taraf
bhole-bhale panchhiyon ka kuchh pata lagta nahin
yasiyat jab phail jaa.e matl.a-e-afkar par
rasta koi bhi apna rasta lagta nahin
iltija ki Tahniyan hoti nahin hain kyuun hari
kyuun samar meri dua men ai ḳhuda lagta nahin
Leave a Reply