khali sharab-e-ishq se saghar kabhi na the
aise to khushk dal ke samundar kabhi na the
jo sang-e-ehtisab yaganon ke paas hain
dushman ke haath men bhi vo patthar kabhi na the
kis samt ja rahe hain unhen khud pata nahin
yuun be-khabar to raah se rahbar kabhi na the
dil tukde tukde ho gaya zakhmi hai ruuh bhi
itne to tez vaqt ke nashtar kabhi na the
milta nahin kahin bhi dar-o-bam ka nishan
ham ghar men rah ke itne to be-ghar kabhi na the
kya janen kya huiin vo hasin shokhiyan ‘hayat’
aise nidhal phuul se paikar kabhi na the
Leave a Reply