kya chiiz hai uzr-e-lab-e-iz.har ka saaya
iqrar ka saaya kabhi inkar ka saaya
taqdir gulistan ki badal deta hai vo phuul
paḌ jaata hai jis phuul pe talvar ka saaya
divar se divar ki duuri are tauba
paḌta nahin divar pe divar ka saaya
ehsas ki ungli se Tapakte hain sitare
chubhta hai mire zehn men jab ḳhaar ka saaya
‘qaisar’ mire jazbat men naghmon ki lachak hai
hai fan pe mire gesu-e-ḳhamdar ka saaya
Leave a Reply