vo sard dhuup ret samundar kahan gaya
yadon ke qafile se december kahan gaya
kutiya men rah raha tha kai saal se jo shakhs
tha ishq naam jis ka qalandar kahan gaya
tufan tham gaya tha zara der men magar
ab sochti huun dil se guzar kar kahan gaya
teri gali ki mujh ko nishani thi yaad par
divar to vahin hai tira dar kahan gaya
chaae ke talkh ghunt se uthta hua ghubar
vo intizar-e-sham vo manzar kahan gaya
us ki siyah rang se nisbat ajiib thi
vo khush-libas hijr pahan kar kahan gaya
rakkha nahin tha lauh-e-mohabbat pe aaj phuul
kis baat par khafa tha mujavir kahan gaya
Leave a Reply