hamen jab apna ta.aruf karana paḌta hai
na jaane kitne dukhon ko dabana paḌta hai
ab aa raha ho koi jism is tasavvuf se
to ham ko halqa-e-bai.at baḌhana paḌta hai
kisi ko niind na aati ho raushni men agar
to ḳhud charagh-e-mohabbat bujhana paḌta hai
bahut ziyada hain ḳhatre badan ki mahfil men
par apni ek hi mahfil hai jaana paḌta hai
ḳhuda hai qadir-e-mutlaq ye baat khulti hai tab
jab us se kaam koi kafirana paḌta hai
bahut ziyada ḳhushi se vafat pa gaya ho
to aise dil ko dukha kar jilana paḌta hai
hamare paas yahi sha.iri ka sikka hai
ulaT-palaT ke isi ko chalana paḌta hai
suna hai tum mire dil ki taraf se guzre the
isi taraf to mira karḳhana paḌta hai
ajiib tarz-e-taghazzul hai ye miyan ‘ehsas’
ki jism-o-ruh ko ik sur men gaana paḌta hai
Leave a Reply