ik aas ka dhundla saaya hai ik paas ka tapta sahra hai
kya dekh rahe ho ankhon men in ankhon men kya rakkha hai
jab khone ko kuchh paas bhi tha tab paane ka kuchh dhyan na tha
ab sochte ho kyuun sochte ho kya khoya hai kya paaya hai
main jhuuT ko sach se kyuun badlun aur raat ko din men kyuun gholun
kya sunne vaala bahra hai kya dekhne vaala andha hai
har ḳhaak men hai gauhar ghaltan har gauhar men miTTi raqsan
jis ruup ke sab gun gaate hain vo ruup bhi kis ne dekha hai
kis dil ki baat kahen ham tum kis dil ka dard sahen ham tum
dil patthar hai dil shisha hai dil sahra hai dil dariya hai
ab saare taare kankar hain ab saare hiire patthar hain
is basti men kyuun aa.e ho is basti men kya rakkha hai
ye marna jiina bhi shayad majburi ki do lahren hain
kuchh soch ke marna chaha tha kuchh soch ke jiina chaha hai
Leave a Reply