sar-e-ḳhayal main jab bhuul bhi ga.i ki main huun
achanak ek ajab baat ye suni ki main huun
talash kar ke mujhe luTne ko tha koi
mire vajud ki ḳhushbu pukar uThi ki main huun
ki tirgi men pali aankh ko yaqin aa jaa.e
zara buland ho ahang-e-raushni ki main huun
vo ḳhali jaan ke ghar luTne ko aaya tha
mare adu ko ḳhabar aaj ho ga.i ki main huun
na-jane kaisi nigahon se maut ne dekha
hui hai niind se bedar zindagi ki main huun
lapeT do saf-e-matam uTha rakho nauhe
pukarta sar-e-mahshar suna koi ki main huun
Leave a Reply