sharab pi kar diya hai tum ne jo ham ko jam-e-sharab aadha
azal se likkha hua tha shayad ki paa.en ham tum savab aadha
gale laga kar liya tha bosa hue the raazi visal par bhi
taḌap ne dil ko jaga diya kyon abhi to dekha tha ḳhvab aadha
falak se kah do sahar qarin hai ga.i vo zulmat hui shab aḳhir
shafaq hina le ke aap aa.e ki uḌ gaya hai ḳhizab aadha
yahan hai zoron pe na-tavani vahan nazakat se baat mushkil
na kis tarah ho saval aadha na kis tarah ho javab aadha
main apni ulfat ka haal likkhun bayan-e-husn-e-sanam ko paḌh kar
ishara ye hai jo saada rakkha varaq miyan-e-kitab aadha
chhupa liin hathon se us ne ankhen ulaT jo di hai naqab ruḳh se
ruke na dast-e-havas ki shoḳhi rahe ye jab tak hijab aadha
tumhari uThti hui javani jo dekh paa.i shanavari men
vafur-e-hairat se rah gaya hai ubhar ke har ik habab aadha
‘hayat’ ghaflat nahin munasib buton ki taa.at ko chhoḌ do ab
zara to chaunko chali javani guzar gaya hai shabab aadha
Leave a Reply