sarab-o-dasht vahi sarban tisra hai
safar ke saath bandha imtihan tisra hai
huzur fahm-o-farasat se kaam lijiyega
saḌak ke maghribi janib makan tisra hai
ye do jahan se aage ki ek manzil hai
ata-e-ishq-e-mohammad jahan tisra hai
azal abad ke nishan zindagi ke haami hain
tabahiyon ki ibarat nishan tisra hai
ham is se pahle bhi guzre hain imtihanon se
paḌav pahla sahi imtihan tisra hai
ye donon kaan to divar ki amanat hain
jo intiha-e-yaqin hai vo kaan tisra hai
main dhuup oḌh ke nikla to ye khula ‘faisal’
yaqin dusra mausam guman tisra hai
Leave a Reply