falsafi ko bahs ke andar khuda milta nahin
dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin
maarifat khaliq ki aalam men bahut dushvar hai
shahr-e-tan men jab ki khud apna pata milta nahin
ghafilon ke lutf ko kaafi hai duniyavi khushi
aqilon ko be-gham-e-uqba maza milta nahin
kashti-e-dil ki ilahi bahr-e-hasti men ho khair
nakhuda milte hain lekin ba-khuda milta nahin
ghafilon ko kya sunaun dastan-e-ishq-e-yar
sunne vaale milte hain dard-ashna milta nahin
zindagani ka maza milta tha jin ki bazm men
un ki qabron ka bhi ab mujh ko pata milta nahin
sirf zahir ho gaya sarmaya-e-zeb-o-safa
kya taajjub hai jo batin ba-safa milta nahin
pukhta tabaon par havadis ka nahin hota asar
kohsaron men nishan-e-naqsh-e-pa milta nahin
shaikh-sahib barhaman se laakh barten dosti
be-bhajan gaae to mandir se tika milta nahin
jis pe dil aaya hai vo shirin-ada milta nahin
zindagi hai talkh jiine ka maza milta nahin
log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye
keh do be us ke javani ka maza milta nahin
ahl-e-zahir jis qadar chahen karen bahs-o-jidal
main ye samjha huun khudi men to khuda milta nahin
chal base vo din ki yaron se bhari thi anjuman
haae afsos aaj surat-ashna milta nahin
manzil-e-ishq-o-tavakkul manzil-e-ezaz hai
shaah sab baste hain yaan koi gada milta nahin
baar taklifon ka mujh par bar-e-ehsan se hai sahl
shukr ki ja hai agar hajat-rava milta nahin
chandni raten bahar apni dikhati hain to kya
be tire mujh ko to lutf ai mah-laqa milta nahin
maani-e-dil ka kare izhar ‘akbar’ kis tarah
lafz-e-mauzun bahr-e-kashf-e-muddaa milta nahin
Leave a Reply