• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Talab Ke Tale

Talab Ke Tale

noon-meem-rashid

gul-o-yasman kal se na-ashna

kal se be-e’tina

gul-o-yasman apne jismon ki haiat men fard

magar kal se na-ashna kal se be-e’tina

kasi marg-e-mubram ka dard

un ke dil men nahin!

faqat apni tarikh ki be-sar-o-pa talab ke tale

ham dabe hain!

ham apne vajudon ki pinhan tahen

kholte tak nahin

aarzu bolte tak nahin!

ye tarikh meri nahin aur teri nahin

ye tarikh hai izhdiham-e-ravan

usi izhdiham-e-ravan ki ye tarikh hai

ye vo chikh hai

jis ki takrar apne man-o-tu men hai

vo takrar jo apni tahzib ki hu men hai

tujhe is pe hairat nahin

ham is izhdiham-e-ravan ke nishan-e-qadam par chale ja rahe hain

badhe ja rahe hain

ki ham zulmat-e-shab men tanha

pade rah na jaaen

badhe ja rahe hain

na jiine ki khatir

na is se fuzun zinda rahne ki khatir

badhe ja rahe hain kisi aib se

rahzan-e-marg se bach nikalne ki khatir

judai ki khatir!

kisi fard ke khauf se badh rahe hain

jo batin ke tuute darichon ke pichhe

shararat se hansta chala ja raha hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bikhre Bikhre Baal Aur Surat Khoi Khoi

poet

Bin Tere Kya Kahen Kya Rog Hamein Yar Laga

shad-azimabadi

Mere danton Ki Umr Ai Aarzu Mujhse Bhi Chhoti Thi

poet

Nigahen uTh Rahi Hain Meri Jaanib Ek Zamane Ki

Koi Kuchh Bhi Kahta Rahe Sab KHamoshi Se Sun Leta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet