main baharon ke ruup men gum tha
jab tujhe mujh se kuchh tabassum tha
tha vo apne hi ḳhauf ka mahkum
jis ki avaz men tahakkum tha
vasl tera raha na raaz ki sub.h
dar-o-divar par tabassum tha
mere sheron men Dhal saka na kabhi
jo miri ruuh men tarannum tha
main payambar na tha magar mujh se
mah-o-ḳhurshid ko takallum tha
sab bahane the kucha-gardi ke
kaun teri talash men gum tha
mera sahil na ban saka ‘sahba’
meri fitrat men jo talatum tha
Leave a Reply