yaad hai ghar ki divaron ko sahara karna
un se raton men faqat zikr tumhara karna
jaane vaale ne abhi raḳht-e-safar bandha hai
tum bhi ab zahr-e-juda.i ko gavara karna
ghar ki dahliz pe rakh dena diya jalta hua
lauT aane ka bas itna hi ishara karna
aql samgha.egi dil lagti dalilen de kar
phir bhi hargiz na kabhi ishq dobara karna
us ne tasvir mujhe di hai ye kah kar ‘sima’
achchhi yadon se na hargiz tu kinara karna
Leave a Reply