• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tu Subh-Dam Na Naha Be-Hijab Dariya Mein

Tu Subh-Dam Na Naha Be-Hijab Dariya Mein

poet

tu sub.h-dam na naha be-hijab dariya men

paḌega shor ki hai aftab dariya men

chalo sharab piyen baiTh kar kinare aaj

ki hove rashk se maahi kabab dariya men

tumhare munh ki safa.i o ab-dari dekh

baha hai sharm se moti ho aab dariya men

main is tarah se huun mehman sara-e-duniya men

ki jis tarah se hai koi hubab dariya men

jahan ke bahr men har mauj buujh sail-e-fana

bana na ghar ko tu ḳhana-ḳharab duniya men

kabhu jo alam-e-masti men tum ne ki thi nigah

baja.e aab bahe hai sharab dariya men

main ab-e-chashm men huun gharq mujh ko niind kahan

kahin kisu ko bhi aaya hai ḳhvab dariya men

agar hai ilm jo tujh ko amal ke dar pe ho

vagarna shaiḳh Duba de kitab dariya men

sanam ki zulf ki lahron ke rashk se ‘hatim’

nahin ye mauj ye hai pech-o-tab dariya men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Parde Ko Jo Lau De Wo Jhalak Aur Hi Kuchh Hai

Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse

sabiha-saba

Nahin Jaane Hai Wo Harf-E-Sataish Barmala Kahna

sauda-mohammad-rafi

Ai Shaikh-E-Haram Tak Tujhe Aana Jaana

Shauq-E-Didar Ne Kya Kya Na Tamasha Dekha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet