ḳhvahish karke gham ko muḳhatib kaun kare
apna safar sahra ki janib kaun kare
zard hue hain peḌ ke patte savan men
ab mausam ka bharosa sahib kaun kare
ḳhuun se apne sham.en jalata huun lekin
din ke jaisa raat ka qalib kaun kare
rutba dena shan-e-karimi ka hai kaam
miTTi ke putle ko saqib kaun kare
andhi nagri ke qanun nirale hain
faisla mere jurm ka vajib kaun kare
zahar-e-ta.assub ḳhuun men sab ke shamil hai
is mausam men baat munasib kaun kare
meri ghazal ki qimat kya hai duniya men
lahu-lahu ungli ko katib kaun kare
suraj peḌ samundar saa.e haqiqat hain
sub.h ko ‘atish’ sub.h-e-kazib kaun kare
Leave a Reply