chain milta nahin ghar men bhi qayamat kya hai
uTh ke sau baar main baiTha huun ye vahshat kya hai
us se be-mehri-o-furqat ki shikayat kya hai
jis ko ye bhi nahin malum mohabbat kya hai
pi ke ik jaam jo behosh bana hai zi-hosh
mai ki tasir hai saaqi ki karamat kya hai
vaj.h-e-azar hai ḳhud jin ke liye tul-e-hayat
un ko andesha-e-sham-o-shab-e-furqat kya hai
dijiye hukm to bimar ki mushkil hal ho
kaam kar legi ajal aap ko zahmat kya hai
haal isyan ka gunahgar bayan kar denge
un se puchhegi jo aa kar tiri rahmat kya hai
maut se kahte hain vo ja ke kabhi dekh to aa
mere bimar-e-shab-e-hijr ki halat kya hai
aap kya janen guzarti hai jo is par shab-o-roz
aap kya janen ki dil ki mire halat kya hai
gird-e-mai-ḳhana lagata hai hazaron chakkar
saaf kah ham se ki vaa.iz tiri niyyat kya hai
taare gin gin ke shab-e-hijr guzar jaati hai
niind dam bhar nahin aati ye musibat kya hai
shumi-e-baḳht ki ‘mas.ud’ ho kya fikr mujhe
shukr har haal men lazim hai shikayat kya he
Leave a Reply