hijr karte ya koi vasl guzara karte
ham bahar-hal basar khvab tumhara karte
ek aisi bhi ghadi ishq men aai thi ki ham
khaak ko haath lagate to sitara karte
ab to mil jaao hamen tum ki tumhari khatir
itni duur aa gae duniya se kinara karte
mehv-e-araish-e-rukh hai vo qayamat sar-e-bam
aankh agar aina hoti to nazara karte
ek chehre men to mumkin nahin itne chehre
kis se karte jo koi ishq dobara karte
jab hai ye khana-e-dil aap ki khalvat ke liye
phir koi aae yahan kaise gavara karte
kaun rakhta hai andhere men diya aankh men khvab
teri janib hi tire log ishara karte
zarf-e-aina kahan aur tira husn kahan
ham tire chehre se aina sanvara karte
Leave a Reply