dil men hai talab aur dua aur tarah ki
hai khak-nashini ki saza aur tarah ki
jab raakh se utthega kabhi ishq ka shoala
phir paegi ye khaak shifa aur tarah ki
jaate hue mausam ki to pahchan yahi hai
dastak men mujhe dega sada aur tarah ki
hai hijr ka pairaya-e-fan aur tarah ka
aur vasl-kahani hai zara aur tarah ki
shab bhi hai vahi ham bhi vahi tum bhi vahi ho
hai ab ke magar apni saza aur tarah ki
Leave a Reply