har taraf soz ka andaz judagana hai
mutma.in sham.a hai ya raqs men parvana hai
bartar-az-vahm-o-tasavvur mira mai-ḳhana hai
zindagi kya hai miri laghzish-e-mastana hai
vo jo ik shauq-e-junun-saz ka afsana hai
aankh shayad kahe dil to abhi divana hai
hosh aaya na kabhi main ne junun ko samjha
davar-e-hashr yahin tak mira afsana hai
ab nigah un ki nigahon se mile ya na mile
ḳhud hi pahunchega jo taqdir ka paimana hai
aap sun len to kuchh aa jaa.e asar bhi shayad
yuun to har tarah mukammal mira afsana hai
husn ik phuul sahi nazuk-o-rangin lekin
ishq se duur hai jab tak gul-e-virana hai
kasrat-e-fahm ne itna bhi samajhne na diya
main huun afsana ki duniya mira afsana hai
ai ḳhusha tala-e-bedar-e-mohabbat ‘basit’
aaj un ki bhi nazar men mira afsana hai
Leave a Reply