jabin par kyuun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se laal kaisa
hazar baten hon ek hain phir bhala ye baham malal kaisa
nahin hai ab tab-e-dard-e-furqat kahan ki izzat kahan ki ghairat
hain mubtala apne haal men ham kisi ka is dam ḳhayal kaisa
batao mujh ko ye kya hua hai ye kaun sa dard-e-la-dava hai
ye kyuun mira dam ulajh raha hai hai ḳhud-baḳhud ji niDhal kaisa
tamam aalam hua jo shaida to kuchh ta.ajjub nahin hai is ka
but-e-sitamgar tujh ko baḳhsha ḳhuda ne husn-o-jamal kaisa
gunah se seri hui nahin hai ye kahte hain sab ajal qarin hai
qalaq men har dam dil-e-hazin hai ki hoga apna ma.aal kaisa
ye us sitamgar se koi kah de mariz-e-furqat ki ab ḳhabar le
hain kaT rahi zindagi ki ghaḌiyan kahan ka din mah-o-sal kaisa
ghazab se hai vaan jo chiin jabin par hujum-e-gham hai dil-e-hazin par
lahu ke dhabbe hain astin par hai daman ashkon se laal kaisa
havas hai har ek ji ki ji men hue jo ghash vasl ki ḳhushi men
tamam shab guzri be-ḳhudi men javab kaisa saval kaisa
jahan chhana paḌa hai kab ka falak pe vahshat ka ab hai shohra
kahan ka maghrib kahan ka mashriq junub kaisa shumal kaisa
vo mehr huun main hua jo tale.a to ik zamane ne ḳhaak uḌaa.i
chamakne dete nahin hain bad men uruuj kaisa zaval kaisa
‘habib’ kar ke buton ki ulfat abhi se ye hijr ki shikayat
rahega ab hashr tak ye jhagḌa yahan bhala infisal kaisa
Leave a Reply