• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Swad-E-Gham Ho Ya Bazm-E-Tarab Kuchh Bhi Nahin Hota

Swad-E-Gham Ho Ya Bazm-E-Tarab Kuchh Bhi Nahin Hota

poet

svad-e-gham ho ya bazm-e-tarab kuchh bhi nahin hota

zaban marham rakkhe ya zakhm ab kuchh bhi nahin hota

chale aate hain be-mausam ki barish ki tarah aansu

basa-auqat rone ka sabab kuchh bhi nahin hota

jo hota hai to bas itna ki lafzon ka bharam tuute

sukhan aata hai akasr ta-ba-lab kuchh bhi nahin hota

kabhi the mehrban mausam kabhi savan barasta tha

aur ab dharti hai saari tishna-lab kuchh bhi nahin hota

tamanna jhankti hai rauzan-e-zindan se chhup chhup kar

asiri men magar anjam-e-shab kuchh bhi nahin hota

qayamat si guzarti hai qayamat aa nahin jaati

koi be-jan ho ya jan-ba-lab kuchh bhi nahin hota

jibillat sar utha le to khas-o-khashak hai insan

bada ho naam ya uncha nasab kuchh bhi nahin hota

yahan hota hai bad-az-marg vavaila bahut lekin

koi mar mar ke jab jiita ho tab kuchh bhi nahin hota

ye duniya hai yahan tarikh hi dohrai jaati hai

anokha kuchh nahin hota ajab kuchh bhi nahin hota

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sochta Hun Ki Dil-E-Zar Ka Matlab Kya Hai

Maine Yun in Sard Labon Ko Rakkha Un ruKHsaron Par

Hamare Nam Se Un Ko Mohabbaten Kaisi

Rukun to Rukta Hai Chalne Pe Sath Chalta Hai

Parda Raha Ki Jalwa-E-Wahdat-Numa Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet