zaban band rakhen aur tum se Dar jaa.en
ye baat zehn men aane se qabl mar jaa.en
muafi mangne jaa.en ḳhuda ke ghar lekin
ḳhata haram men hui ho to phir kidhar jaa.en
main ab badal nahin sakta mizaj jiine ka
ab aap chahen to Thahren vagarna ghar jaa.en
bahar-e-nau men na.e gul to khil rahe hain magar
jhaḌi hain shaḳh se jo pattiyan kidhar jaa.en
vo jan-bujh ke naḳhun baḌha ke rakhte hain
ye chahte hi nahin hain ki zaḳhm bhar jaa.en
mila hai taḳht jo jamhuriyat men banar ko
to un se kya sabhi jangal ke sher Dar jaa.en
Leave a Reply