talḳhi-kash-e-naumidi-e-didar bahut hain
us nargis-e-bimar ke bimar bahut hain
aalam pe hai chhaya hua ik yaas ka aalam
yaani ki tamanna ke giraftar bahut hain
ik vasl ki tadbir hai ik hijr men jiina
jo kaam ki karne hain vo dushvar bahut hain
vo tera ḳharidar-e-qadim aaj kahan hai
ye sach hai ki ab tere ḳharidar bahut hain
mehnat ho musibat ho sitam ho to maza hai
milna tira asan hai talabgar bahut hain
ushshaq ki parvah nahin ḳhud tujh ko vagarna
ji tujh pe fida karne ko tayyar bahut hain
‘vahshat’ suḳhan o lutf-e-suḳhan aur hi shai hai
divan men yaron ke to ash.ar bahut hain
Leave a Reply