phir faza men koi zahrila dhuan bhar ja.ega
phir kisi din apne andar kuchh na kuchh mar ja.ega
phailta jaata hai ye jo har-taraf ik shor sa
ek sannaTa kisi dahliz par dhar ja.ega
yuun raha to saare manzar bad-numa ho ja.enge
ik bhayanak rang har tasvir men bhar ja.ega
kar raha hai apni basti men jo ḳhushiyon ki talash
koi tikha dard apne saath le kar ja.ega
yuun achanak bhi hua karta hai koi hadisa
mujh ko kya ma.alum tha vo is tarah mar ja.ega
chha ga.i nafrat ki gahri dhund itni duur tak
pyaar ka suraj vahan tak kaun le kar ja.ega
rah-rau ab tak khaḌe hain raah men is aas par
koi aa.ega idhar aur kuchh na kuchh kar ja.ega
Leave a Reply