
Hakeem Manzoor
kab is zamin ki samt samundar palaT kar aa.e
iz.har-e-avvalin ka vo manzar palaT kar aa.e
jab harf likh diya hai to kyuun mushtahar na ho
nikla kaman se tiir to kyunkar palaT kar aa.e
ho saare shahr men ye munadi ki jashn ho
apni hi saf men haare dilavar palaT kar aa.e
ya be-ḳhabar the vus.at-e-dariya-e-rang se
ya chashm-e-be-hunar the shanavar palaT kar aa.e
bazar pur-hujum ḳharidar kam-savad
chup-chap le ke apne gul-e-tar palaT kar aa.e
itne baḳhil peḌ na dekhe the aaj tak
be-fasl be-samar mire patthar palaT kar aa.e
asnam ka hujum kabhi is qadar na tha
in vadiyon men kaun se aazar palaT kar aa.e
kya ik khula fusun hai shafaq rang dopahar
kya raat ho ga.i hai ki shahpar palaT kar aa.e
‘manzur’ phir zamin pe ujala ho ek baar
kaash ek baar phir vo payambar palaT kar aa.e

Leave a Reply