ab tujh se phira ye dil-e-nakam hamara
us kuche men kam hi rahega kaam hamara
hai sakht mire darpa-e-jan tera gham-e-hijr
janan se kahe ja koi paigham hamara
jagir men hai ghair ki vo bosa-e-lab go
qaaem rahe ye mansab-e-dushnam hamara
hone nahin paate ye mire dida-e-tar khushk
daulat se tiri tar hai sada jaam hamara
do din men kisi kaam ka rahne ka nahin tu
kuchh tujh se nikal le kabhi to kaam hamara
ik roz mila alam-e-masti men jo ham se
tanha but-e-badmast mai-asham hamara
shamshir alam kar ke laga kahne rakhun thor
badnam tu karta phire hai naam hamara
ayyam ke har zikr se aur fikr se farigh
ya ishq hai vird-e-sahar-o-sham hamara
hota na farebanda-e-dil kaash ke ‘hasrat’
aghaz men ye ishq-e-bad-anjam hamara
Leave a Reply