har rasta pur-bahar hua hai abhi abhi
dil dil ka razdar hua hai abhi abhi
daman ki dhajjiyon ko sitaron se bandh kar
koi falak ke paar hua hai abhi abhi
us ko pata nahin hai ḳhizan ke mizaj ka
vo vaqif-e-bahar hua hai abhi abhi
ishq-e-bashar se ishq-e-ḳhuda mo’tabar hua
ye nukta ashkar hua hai abhi abhi
ashkon men tair uTThi lahu ki lakir si
dil par nazar ka vaar hua hai abhi abhi
aa ja ḳhuda ke vaste aa ja na der kar
dil mera va-guzar hua hai abhi abhi
maujon ki sina-kubi batati hai barmala
dariya ke koi paar hua hai abhi abhi
us par likhi thi jan-e-mohabbat ki dastan
daman jo taar taar hua hai abhi abhi
Leave a Reply