hamari ankhen bhi sahib ajiib kitni hain
ki dil jo roe to kam-bakht hansne lagti hain
tumhare shahr se chaliye ki tang-dasti ne
tumhare shahr ki galiyan bhi tang kar di hain
ye ham hain be-hunaran dekhiye hunar-mandi
jo koi kaam karen ham to poren jalti hain
na is ka vasl mila aur na rozgar yahan
so pahle hijr-zada the aur ab ke hijrati hain
to shah-zadi ko laaen vo mahv-e-khvab hai kya
hamen yaqin nahin pariyan bhi jhuut bolti hain
Leave a Reply