shaiḳh aḳhir ye surahi hai koi ḳhum to nahin
aur bhi baiThe hain mahfil men hamin tum to nahin
na-ḳhuda hosh men aa hosh tire gham to nahin
ye to sahil ke hain asar-e-talatum to nahin
naz-o-andaz-o-ada honTon pe halki si hansi
teri tasvir men sab kuchh hai takallum to nahin
dekh anjam mohabbat ka bura hota hai
mujh se duniya yahi kahti hai bas ik tum to nahin
muskurate hain saliqe se chaman men ghunche
tum se sikha hua andaz-e-tabassum to nahin
ab ye mansur ko di jaati hai nahaq suuli
haq ki puchho to vo andaz-e-takallum to nahin
chandni-rat ka kya lutf ‘qamar’ ko aa.e
laakh taron ki baharen hain magar tum to nahin
Leave a Reply