nazar jo aata hai bahar men kab vo andar huun
main aadmi huun kahan aadmi ka paikar huun
raha jo bhiiḌ men bhi mushfiqon ki sar-afraz
ḳhuda-gavah men vaisa hi ek masdar huun
safina koi salamat na rah sakega ab
qasam-ḳhuda-ki main biphra hua samundar huun
ye aur baat ki tum ko main yaad aa na saka
vagarna aaj bhi mahfil men har zaban par huun
thi meri zaat kabhi ka.enat ka mehvar
hisar-e-zat men lekin main aaj shashdar huun
dilon ke band dariche bhi jis se khul jaa.en
jo paḌh sako to paḌhe jaao main vo mantar huun
jo paḌh sake na mira chehra bhi vo ḳhud-bin tum
jo dard lamhon ka samjhe main vo qalandar huun
Leave a Reply