Ishq Mein Iztirab Rahta Hai ishq men iztirab rahta hai ji nihayat ḳharab rahta hai ḳhvab sa kuchh ḳhayal hai lekin jaan par ik azaab rahta hai tishnagi ji ki baḌhti jaati hai samne ik sarab rahta hai marhamat ka tiri shumar nahin dard bhi be-hisab rahta hai
Leave a Reply