har baat par na yuun hamen ghussa karen huzur
kuchh bad-mizaj log hain dekha karen huzur
ik din hava ke ḳhauf se kahne laga charagh
mera yuun sha.iri men na charcha karen huzur
jitna junun hai jeb men bahar nikaliye
bazar hai ye ishq ka ḳharcha karen huzur
ab siikh jaa.en aap un ankhon ki bhi zaban
palken jhuka.un jab bhi to samjha karen huzur
itna hasin phuul aur us par ye barhami
ham se ḳhata hui hai to shikva karen huzur
jhagḌa hua hai aaj sitaron ka chand se
bola hai kitni baar na chamka karen huzur
Leave a Reply