• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aankh Se Is Fikr Mein Hota Nahin Pani Juda

Aankh Se Is Fikr Mein Hota Nahin Pani Juda

aankh se is fikr men hota nahin paani juda

ek din ho ja.egi mujh se miri beTi juda

maujib-e-furqat vahan bhi dana-e-gandum hi tha

aur aksar yaan bhi ham ko karti hai roTi juda

vadi-e-dil tak nazar aa.egi ik chhoTi lakir

kar rahe ho aankh se tum jis tarah paani juda

bad-o-baran ne bhi us se dil-lagi kya ḳhuub ki

jo uḌa kar le ga.iin chhatri juda chunari juda

ḳhvahishon par phir musallat ho ga.e duniya ke gham

ho raha hai dil se dhire dhire phir koi juda

der se milta hai jo rishton ke mele men hamen

jaane ho jaata hai kyon ham se vahi jaldi juda

uḌ ga.iin murghabiyan par us taraf baiThe hue

ek laḌke ko sabhi se kar ga.i goli juda

barhami rishton ki shadi ke dinon men aam hai

jo bhi kar lo paanv se hoti nahin pagḌi juda

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Masrur Bhi Hun KHush Bhi Hun Lekin KHushi Nahin

Duniya Ghume Kya Kya Dekha

Kisi Dar Pe Jaane Ko Ji Chahta Hai

Ye Shishe Dil Ke Jo Bikhre Hue Hain

Jinhen Mahfilon Se Gharaz Na Thi Wo Jo Qaid Apne Gharon Mein The

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet