kuchh hisab ai sitam ijad to kar
kis qadar zulm kiye yaad to kar
zinda ja sakte hain bahar ki nahin
dekh asiron ko ab azad to kar
ḳhaak kyuun chhan raha hai batla
tha bhi dil paas tire yaad to kar
are munh Dhanp ke rone vaale
dam ulaT ja.ega fariyad to kar
haa.e kya hoga bahar aane tak
qaidi-e-kunj-e-kafas yaad to kar
vo tasalli hi sahi ai sayyad
kuchh muayyan miri mi.ad to kar
hai tanaffur jo buton se vaa.iz
sifat-e-husn-e-ḳhuda-dad to kar
ja kabhi najd ki janib bhi ‘aziz’
ruh-e-majnun ko zara shaad to kar
Leave a Reply