sharar-e-ishq sadiyon ka safar karta hua
bujha mujh men mujhi ko be-ḳhabar karta hua
rumuz-e-ḳhak bab-e-mushtahar karta hua
yunhi abad sahra-e-hunar karta hua
zamin-e-justuju gard-e-safar karta hua
ye mujh men kaun hai mujh se mafar karta hua
abhi tak lahlahata hai vo sabza aankh men
vo mauj-e-gul ko meyar-e-nazar karta hua
harim-e-shab men ḳhuun rota hua mah-e-tamam
nigar-e-sub.h qissa muḳhtasar karta hua
miri miTTi ko le pahuncha dayar-e-yar tak
ghubar-e-jan tavaf-e-chashm-e-tar karta hua
takabbur le raha hai imtihan phir azm ka
sitaron ko mire zer-e-asar karta hua
falak-bosi ki ḳhvahish ta.ir-e-vahshat ko thi
uḌa hai apni miTTi darguzar karta hua
Leave a Reply