• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rut KHizan Ki Hai Aur Hari Hui Hai

Rut KHizan Ki Hai Aur Hari Hui Hai

rut ḳhizan ki hai aur hari hui hai

shaḳh-e-gul tu to bavri hui hai

kya uḌanon ko hausla degi

ai hava tu to ḳhud Dari hui hai

zindagi mil kabhi to fursat se

baat abhi tujh se sarsari hui hai

koi manzar nahin hai ankhon men

ratjagon ki thakan bhari hui hai

qurbaten karvaTen badalti hui

aur ana beach men dhari hui hai

ye jo baiThe hain sar jhuka.e hue

aaj in se khari khari hui hai

ḳhud-kalami hai ye tiri ‘nusrat’

mat abhi soch sha.iri hui hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Matam Bahut Raha Mujhe Ashk-E-Chakida Ka

shakeel-badayuni

dur Hain Wo Aur Kitni dur

Jalan Ke KHauf Se Bahar Nikal Sako to Chalo

Wo Jis Ka Nam Is Dil Par Likhaya Hai

Hamein to Kal Kisi Agle Nagar Pahunchna Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet