aa ja andheri raten tanha bita chuka huun
sham.en jahan na jaltin ankhen jala chuka huun
ḳhurshid-e-sham-e-rafta lauTe to us se puchhun
main zindagi ki kitni sub.hen ganva chuka huun
ummid-o-bim-e-shab ne ye bhi bhula diya hai
kitne diye jala.e kitne bujha chuka huun
main baz-gasht-e-dil huun paiham shikast-e-dil huun
vo aazma raha huun jo aazma chuka huun
ye shab bujhi bujhi hai shayad ki aḳhiri hai
ai sub.h-e-dard tere nazdik aa chuka huun
mujh ko fareb mat de ai mausam-e-baharan
aise ka.i shagufe main bhi khila chuka huun
suraj tulua hon ya suraj ghurub ‘sahba’
shab-ha-e-gham ke parde ḳhud par gira chuka huun
Leave a Reply