puchha hi nahin us ne kabhi haal hamara
bas yuun hi guzar jaata hai har saal hamara
rahti hai ḳhabar saare zamane ki hamen bhi
phaila hai bahut duur talak jaal hamara
mushkil hai kisi kaam ka hona bhi yahan par
ho jaata hai har kaam ba-har-hal hamara
ham ne to numa.ish bhi laga.i nahin phir bhi
bazar men chal jaata hai har maal hamara
pahchan zamane se alag hi hai hamari
milta nahin har ek se sur-tal hamara
mumkin hai ki ban jaa.en shahanshah-e-ghazal ham
vaise to irada nahin filhal hamara
Leave a Reply