thi abhi sub.h abhi shaam hui jaati hai
zindagi gardish-e-ayyam hui jaati hai
zindagi mohlat-e-taufiq-e-ḳhum-ashami thi
zindagi fursat-e-yak-jam hui jaati hai
zindagi ta.ir-e-sahra thi ba-shauq-e-parvaz
zindagi said-e-tah-e-dam hui jaati hai
zindagi Daal rahi thi jo sitaron pe kamand
ab tamasha-e-lab-e-bam hui jaati hai
zindagi ye hai ki ba-in-hama-sauda-e-safar
zindagi hasrat-e-yak-gam hui jaati hai
zindagi ye hai ki jis ret pe jalte the qadam
ab vahi bistar-e-aram hui jaati hai
zindagi ye hai ki soya tha musafir thak kar
so ke uTTha hai to ab shaam hui jaati hai
‘maz.hari’ fan ka taqaza hai ki likhiye kuchh aur
ye ghazal koshish-e-nakam hui jaati hai
Leave a Reply