apne pindar se ghat kar nahin qaaem rahta
fard kirdar se hat kar nahin qaaem rahta
aks bat jaata hai ainon men lekin ai dil
aaina aks men bat kar nahin qaaem rahta
koi bhi naqsh ho kitna hi mukammal lekin
vaqt ki gard men at kar nahin qaaem rahta
asmanon men udanon ka maza hoga magar
koi bhi khaak se kat kar nahin qaaem rahta
rose ik raah nai shauq-e-safar mangta hai
daeron men hi simat kar nahin qaaem rahta
qita-e-jan ko jalata hua is dhuup ka rang
chhanv se teri lipat kar nahin qaaem rahta
yaad men un ki kai baar bikhar jaata hai
dil bhi kya hai ki simat kar nahin qaaem rahta
dil vo bachcha ki isi pal men humakna chahe
ye vo lamha ki palat kar nahin qaaem rahta