• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tum Na Aaoge to Kya Ho Jaega

Tum Na Aaoge to Kya Ho Jaega

tum na aaoge to kya ho ja.ega

dard ḳhud baḌh kar dava ho ja.ega

jo ḳhudi se ashna ho ja.ega

mahram-e-raz-e-baqa ho ja.ega

kya pilaoge kisi suqrat ko

zahar to ab-e-baqa ho ja.ega

ham karenge jab nava-e-haq buland

ik zamana ham-nava ho ja.ega

parsa.i dekhti rah ja.egi

bab-e-rahmat ham pe va ho ja.ega

shauq-e-manzil shart hai ai rah-rau

zarra zarra rahnuma ho ja.ega

bargah-e-husn par kar do nisar

zindagi ka haq ada ho ja.ega

naaz kya hai zindagi ke saaz par

ek din ye be-sada ho ja.ega

ham ne puuja tha kisi ko pyaar se

kya ḳhabar thi vo ḳhuda ho ja.ega

iffat-e-qalb-o-nazar paida to kar

husn majbur-e-vafa ho ja.ega

kaam le ‘sabir’ tu sabr-o-shukr se

us ki jo hogi raza ho ja.ega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-javed

Aansu Ki Tarah dida-e-Pur-Ab Mein Rahna

Ye Mashwara Baham uTThe Hain Chaara-Ju Karte

Kuchh shoKH Hasinaon Si Rangin Kitaben

Dil Aabaad Kahan Rah Pae Uski Yaad Bhula Dene Se

poet

Wo Mera KHwab Jo Mahtab Hone Wala Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet