
Hayat Madrasi
kabhi be-mudda.a dena kabhi ba-mudda.a dena
samajh men kuchh nahin aata tiri sarkar ka dena
kabhi mehrab-e-dil ko darḳhur-e-ka.aba bana dena
kabhi daman-e-gham ko bhi madine ki hava dena
mubarak un ko apni raah men kanTe bichha dena
hamen aata hai bas dushman ke haq men bhi dua dena
janab-e-shaiḳh ka ye zohd-o-taqva kya ibadat hai
ma.al-e-bandagi hai zindagi apni miTa dena
tiri nazron ke sadqe be-piye hi mast hain saaqi
hamare samne se saghar-o-mina haTa dena
riyaz-e-zaḳhm ko di tazgi meri nigahon ne
mire ashkon ko aata hai ḳhizan men gul khila dena
ghazal ko ab ‘hayat’-afroz nazzaron ki hajat hai
qadamat se alag haT kar na.i duniya basa dena

Leave a Reply