phir mujhe likhna jo vasf-e-ru-e-janan ho gaya
vajib is ja par qalam ko sar jhukana ho gaya
sar-kashi itni nahin zalim hai o zulf-e-siyah
bas ki tarik apni ankhon men zamana ho gaya
dhyan aaya jis ghadi us ke dahan-e-tang ka
ho gaya dam band mushkil lab hilana ho gaya
ai azal jaldi rihai de na bas takhir kar
khana-e-tan bhi mujhe ab qaid-khana ho gaya
aaj tak aina-vash hairan hai is fikr men
kab yahan aaya sikandar kab ravana ho gaya
daulat-e-duniya na kaam aaegi kuchh bhi baad-e-marg
hai zamin men khaak qarun ka khazana ho gaya
baat karne men jo lab us ke hue zer-o-zabar
ek saaat men tah-o-bala zamana ho gaya
dekh li raftar us gul ki chaman men kya saba
sarv ko mushkil qadam aage badhana ho gaya
jaan di akhir qafas men andalib-e-zar ne
muzhda hai sayyad viran ashiyana ho gaya
zinda kar deta hai ik dam men ye isa-e-nafas
khel is ko goya murde ko jilana ho gaya
tausan-e-umr-e-ravan dam bhar nahin rukta ‘rasa’
har nafas goya usi ka taziyana ho gaya
Leave a Reply