aql par patthar paḌe ulfat men divana hua
dil jo ik muddat se apna tha vo begana hua
kah gaya jo ji men aaya aisa divana hua
buund men kam-zarf ka labrez paimana hua
sachchi baton men bhi hota hai qayamat ka asar
tazkira mera ajab dilchasp afsana hua
bad-numa samjha gaya paivand-e-istighna-o-hirs
nang dalq-e-faqr-e-kashkol-e-gadayana hua
rang-e-ḳhullat se dil-e-shaida muraqqa.a ban gaya
ye ḳhuda ka ghar bhi is surat se but-ḳhana hua
muḳhrib-e-buniyad-e-asa.ish hai raftar-e-jahan
bastiyan ujḌin kabhi abad virana hua
jaan hai mol us ka ai ishq-e-javani jaan le
naqd husn-e-yusuf-sani ka bai.ana hua
tira-baḳhti ki bala se yuun nikalna chahiye
jis tarah suljha ke zulfon ko alag shana hua
jazb-e-dil ye hai ise kahte hain batin ki kashish
un ke partav se munavvar mera kashana hua
kya shikayat us ki sahab apna apna rang hai
ghair hain ham tum se jab ghairon se yarana hua
mil ga.e donon men thi jalne ki quvvat ek saan
mail-e-jinsiyyat se juzv-e-sham.a parvana hua
us ki shan-e-alam-ara.i pe ki jis dam nazar
gosha-e-uzlat mira darbar-e-shahana hua
qalib-e-ḳhaki men saaqi tu ne phunki hai ye ruuh
qulqul-e-mina se paida shor-e-mastana hua
ḳhuub hi rang-e-javani sheb ne khoya ‘habib’
mahv dil se bhi ḳhayal-e-ru-e-janana hua
Leave a Reply