ishq aur ishq ke adab ka kya karna hai
tu nahin hai to kisi ḳhvab ka kya karna hai
jab tira naam mire naam ke saath aaya nahin
harf ka lafz ka eraab ka kya karna hai
ab samundar hai na par hain na shab-e-char-dahum
ab tiri aankh ke mahtab ka kya karna hai
ik yahi chadar-e-hijran mujhe de kar us ne
kah ke ruḳhsat kiya asbab ka kya karna hai
katranen ranj ki sanson men girah Dalti hain
ab kisi resham-o-kim-ḳhvab ka kya karna hai
asman chashm barabar bhi na taara koi
ab bata rauzan-e-ḳhush-tab ka kya karna hai
Leave a Reply