aarzu hai main rakhun tere qadam par gar jabin
tu uthave naaz se zalim laga thokar jabin
apne ghar men to bahut patka pa kuchh hasil nahin
ab ke ji men hai tiri chaukhat pe rouun dhar jabin
jaisi peshani tiri hai ai mire khurshid-ru
chand ki hai raushni men us se kab behtar jabin
shaikh aa jalva khuda ka mai-kade men hai mire
kyuun ragadta hai abas kaabe ke tu dar par jabin
kya karun tere qadam tak to nahin hai dastaras
naqsh-e-pa hi par tire malta huun main akasr jabin
shaikh gar shaitan se surat nahin milti tiri
bas bata daghi hui hai kis tarah yaksar jabin
hai kisi ki bhi tiri se aundhi peshani bhala
dekh tu ai shokh apni aaina le kar jabin
aa ke jin hathon se malta tha tire talvon ke taiin
pitta huun ab unhin hathon se main akasr jabin
buujh kar naqsh-e-qadam ko tere mehrab-e-dua
mangta huun main murad-e-dil ko rakh is par jabin
chand ka mukhda hai ya aina ya mushaf ka lauh
ya tiri hai ai mire rashk-e-mah-o-akhtar jabin
saaf dil ‘taban’ mukaddar hi kabhu hota nahin
aina ki haigi raushan dekh le yaksar jabin
Leave a Reply