tere siva bhi koi mujhe yaad aane vaala tha
main varna yuun hijr se kab ghabrane vaala tha
jan-bujh kar samajh kar main ne bhula diya
har vo qissa jo dil ko bahlane vaala tha
mujh ko nadamat bas is par hai log bahut ḳhush hain
is lamhe ko kho kar jo pachhtane vaala tha
ye to ḳhair hui dariya ne ruḳh tabdil kiya
mera shahr bhi us ki zad men aane vaala tha
ik ik kar ke sab raste kitne sunsan hue
yaad aaya main lambe safar par jaane vaala tha
Leave a Reply