ahaTen taaza muqaddar ki taraf
a.inon ke dhyan patthar ki taraf
vasvase sina-sipar maujud se
vahime ki pusht ḳhanjar ki taraf
shisha shisha ḳhauf har chehre pe naqsh
ik nishana saikḌon sar ki taraf
haal par dushman ki poshida-ruḳhi
aa.ina raushan sikandar ki taraf
muskura kar abla-tan baḌh ga.e
ḳhaar ke surḳhab bistar ki taraf
raushni bahar baḌi tezab hai
qatra qatra aankh manzar ki taraf
sarvari thi nok-e-pa-e-ḳhaksar
ja paḌi dastar-e-ḳhud-sar ki taraf
Leave a Reply