ye faisla to bahut ghair-munsifana laga
hamara sach bhi adalat ko baghiyana laga
hamare ḳhuun se bhi us ki ḳhushbuen phuTin
hamen to qatl bhi kar ke vo bevafa na laga
laga.i aag bhi is ehtimam se us ne
hamara jalta hua ghar nigar-ḳhana laga
ham itna ruuh ki gahra.iyon ke aadi the
ki Dubta hua dil Dubta hua na laga
ye ḳhaam maal milega bahut hi kam damon
lahu ho jis ki zarurat vo karḳhana laga
kisi bhi shaḳhs se jab us ki ḳhairiyat puchhi
to apna lahja-e-pursish bhi taziyana laga
ye kaun log ‘muzaffar’ ki kar rahe the bura.i
mile hain ham bhi bahut ham ko vo bura na laga
Leave a Reply