ḳhaak ka rizq yahan har kas-o-na-kas nikla
ye badan sinchne vaala baḌa bebas nikla
vo jo karta tha sada ḳhirqa-e-darvesh ki baat
vo bhi darbar men varafta-e-atlas nikla
zarfishan hai miri zarḳhez zaminon ka badan
zarra zarra mire punjab ka paras nikla
meri hairat ko bhi tariḳh men mahfuz karo
mere ahbab men har shaḳhs buroTas nikla
titliyan pyaar ki thak-har ke lauT aa.i hain
ghuncha-e-chashm hi us shaḳhs ka be-ras nikla
ye qalam mujrim-e-tausif-e-ghazalan ‘anjum’
vaqt paḌne pe to ye fiil ka ankas nikla
Leave a Reply